dil ko kya yar ke paikan liye baiThe hain
sahab-e-KHana ko mehman liye baiThe hain
shor kyunkar na lab-e-zaKHm-e-jigar se uTThe
sunte hain phir wo namak-dan liye baiThe hain
dam labon par hai yahan shauq-e-shahadat mera
ghar mein wo KHanjar-e-burran liye baiThe hain
sog ne un ke hazaron ko kiya saudai
wo abhi zulf-e-pareshan liye baiThe hain
dil-e-pur-dagh se bahlate hain ji ko us bin
hum ye pahlu mein gulistan liye baiThe hain
uThte hi pahlu se us parda-nashin ke hum bhi
chashm par gosha-e-daman liye baiThe hain
kal to kabe ko chale hazrat-e-'tanwir' the lo
aaj mai-noshi ka saman liye baiThe hain
Ghazal
Dil ko kya yar ke paikan liye baiThe hain
Tanvir Dehlvi