dil ko kya ho gaya KHuda jaane
kyun hai aisa udas kya jaane
apne gham mein bhi us ko sarfa hai
na khila jaane wo na kha jaane
is tajahul ka kya Thikana hai
jaan kar jo na muddaa jaane
kah diya main ne raaz-e-dil apna
us ko tum jaano ya KHuda jaane
kya gharaz kyun idhar tawajjoh ho
haal-e-dil aap ki bala jaane
jaante jaante hi jaanega
mujh mein kya hai abhi wo kya jaane
kya hum us bad-guman se baat karen
jo sataish ko bhi gila jaane
tum na paoge sada-dil mujh sa
jo taghaful ko bhi haya jaane
hai abas jurm-e-ishq par ilzam
jab KHata-war bhi KHata jaane
nahin kotah daman-e-ummid
aage ab dast-e-na-rasa jaane
jo ho achchha hazar achchhon ka
waiz us but ko tu bura jaane
ki meri qadr misl-e-shah-e-dakan
kisi nawwab ne na raja ne
us se uTThegi kya musibat-e-ishq
ibtida ko jo intiha jaane
'dagh' se kah do ab na ghabrao
kaam apna bata hua jaane
Ghazal
Dil ko kya ho gaya KHuda jaane
Dagh Dehlvi