dil ko kis surat se kije chashm-e-dilbar se juda
shisha-e-mai ko nahin rakhte hain saghar se juda
main to hun ai tala-e-bargashta dilbar se juda
aur patthar aasiya ka ho na patthar se juda
us ke bahr-e-husn mein mat chhoD ai dil tar-e-zulf
gharq ho jati hai kashti ho ke langar se juda
ishq mein shirin ke tu ne jaan-e-shirin di hai aah
naqsh tera kohkan ho kyun ki patthar se juda
chashm ye tujh se hai ya-rab ta na ho lail-o-nahaar
chashm us parda-nashin ke raKHna-e-dar se juda
kanda is mere nagin-e-dil pe tera nam hai
us ko apne KHatam-e-dil ke na kar ghar se juda
is ko kahte hain mohabbat shisha-e-saat ko dekh
ek ke hota nahin hai dusra bar se juda
wo udhar KHandan hai main giryan idhar hairat hai ye
barq chamke abr garje aur meinh barse juda
surat-e-baadam-e-taw-am roz-o-shab hota nahin
chashm-e-dilbar ka tasawwur chashm ke ghar se juda
sozan-e-be-rishta aati hai kasi ko kab nazar
to na ho ai aah-e-dil is jism-e-laghar se juda
parda-e-mina se saqi duKHt-e-raz nikle hai kyun
aaftab-e-KHawari hota hai KHawar se juda
us ki mizhgan se chhuDaun dil ko kis surat se main
panja-e-shahin nahin hota kabutar se juda
tab us champa-kali ki yun hai tikme ke tale
jun kiran chamke hai ho kar mahr-e-anwar se juda
ashk-e-chashm-e-tar ko rahne dun tah-e-mizhgan na kyun
tifl ko karte nahin daman-e-mader se juda
is zamin mein likh ghazal ek aur pur-mani 'nasir'
rang yani ho nahin sakta gul-e-tar se juda
is ghazal ko sun ke 'KHaqani' kare wajd ai 'nasir'
'anwari' bhi sar ko apne paTke patthar se juda
Ghazal
Dil ko kis surat se kije chashm-e-dilbar se juda
Shah Naseer