dil ko isi sabab se hai iztirab shayad
qasid phira hai le kar KHat ka jawab shayad
aankhen chaDhi hui hain baaten hain bahki bahki
aae ho tum kahin se pi kar sharab shayad
kya jaane kis hawa mein itna ubhar raha hai
hasti nahin samajhta apni habab shayad
mujh par jo wo sahar se is darja mehrban hain
shab ki dua hui hai kuchh mustajab shayad
bimar hun bandhi hai dhun raat-din safar ki
ghurbat mein apni miTTi hogi KHarab shayad
pichhle se wasl ki shab aasar subh ke hain
niklega raat hi se aaj aaftab shayad
aaya bahut dinon par zahid jo mai-kade mein
bhuli hui thi us ko rah-e-sawab shayad
barsat ki kami se kya qadr ghaT gai hai
aisi kabhi biki ho arzan sharab shayad
apne dimagh mein to ab ye basi hui hai
behtar tere pasine se ho gulab shayad
bazm-e-adu mein aa kar jis tarah hum jale hain
dozaKH mein ho kisi par aisa azab shayad
ashkon se tar hui thi yun raat sej un ki
yaad aa gaya tha koi hangam-e-KHwab shayad
ai shaiKH tu mila kar dekh un se umr apni
huron ka Dhal gaya ho ab to shabab shayad
tauba 'hafiz' mai ka paD jae jis ko chaska
phir us se marte dam tak chhuTe sharab shayad
Ghazal
Dil ko isi sabab se hai iztirab shayad
Hafeez Jaunpuri