dil ko har surmai rut mein yahi samjhate hain
aise mausam kai aate hain guzar jate hain
had se baDh jati hai jab talKHi-e-imroz to phir
hum kisi aur zamane mein nikal jate hain
raat-bhar nind mein chalte hain bhaTakte hain KHayal
subh hoti hai to thak haar ke ghar aate hain
kaise ghabrae se phirte hain mere KHal ghazal
zindagani ki kaDi dhup mein sanwlate hain
phul se log jo KHushbu ke safar par nikle
dekhte dekhte kis tarah se murjhate hain
chhoDiye jo bhi hua Thik hua bit gaya
aaiye rakh se kuchh KHwab uTha late hain
Ghazal
Dil ko har surmai rut mein yahi samjhate hain
Azra Naqvi