dil ko hum dariya kahen manzar-nigari aur kya 
pursish-e-ahwal-e-aqa kam-ayari aur kya 
apne manzar se alag hota nahin hai koi rang 
apni aankhon ke siwa baad-e-bahaari aur kya 
hum bhi kuchh kahte pa us ki guftugu ka silsila 
KHatm hota hi nahin hai hoshiyari aur kya 
sab uTha kar le gain meri junun-samaniyan 
ab sataegi hamein be-aKHtyari aur kya 
meri wahshat bhi sukun na-ashna meri tarah 
mere qadmon se bandhi se zimmedari aur kya 
us ziyan-KHane mein milti hi nahin dad-e-firaq 
zabt ka paigham degi sogwari aur kya 
ji mein aa jae to hum bhi muskura kar dekh len 
aankh phir pahron na kholen shahryari aur kya 
'haqqi' bechaara aaKHir thak-thaka kar so gaya 
apne zaKHmon ki wo karta parda-dari aur kya
        Ghazal
Dil ko hum dariya kahen manzar-nigari aur kya
Abul Hasanat Haqqi

