اردو हिंदी
Dil ko halak-e-jalwa-e-jaanan banaiye | Shaahi Shayari
dil ko halak-e-jalwa-e-jaanan banaiye

Ghazal

Dil ko halak-e-jalwa-e-jaanan banaiye

Mohammad Ali Jauhar

;

dil ko halak-e-jalwa-e-jaanan banaiye
is but-kade ko kaba-e-iman banaiye

tufan ban ke uThiye jahan-e-KHarab mein
hasti ko ek sharara-e-raqsan banaiye

dauDaiye wo ruh ki har zarra jag uThe
ujDe hue watan ko gulistan banaiye

phir dijiye nigah ko paigham-e-justuju
manzil se kyun nazar ko gurezan banaiye

aaKHir to KHatm hongi kahin qaid ki haden
yusuf ko aap raunaq-e-zindan banaiye

phir apne dil mein kijiye paida koi taDap
phir mushkil-e-hayat ko aasan banaiye

'jauhar' asiriyon ki koi intiha bhi hai
aazad ek nizam-e-pareshan banaiye