dil ko gham-e-hayat gawara hai in dinon
pahle jo dard tha wahi chaara hai in dinon
har sail-e-ashk sahil-e-taskin hai aaj-kal
dariya ki mauj mauj kinara hai in dinon
ye dil zara sa dil teri yaadon mein kho gaya
zarre ko aandhiyon ka sahaara hai in dinon
shamon mein ab nahin hai wo pahli si raushni
kya waqai wo anjuman-ara hai in dinon
tum aa sako to shab ko baDha dun kuchh aur bhi
apne kahe mein subh ka tara hai in dinon
Ghazal
Dil ko gham-e-hayat gawara hai in dinon
Qateel Shifai