dil ko duniya ka hai safar darpesh
aur chaaron taraf hai ghar darpesh
hai ye aalam ajib aur yahan
majra hai ajib-tar darpesh
do jahan se guzar gaya phir bhi
main raha KHud ko umr bhar darpesh
ab main ku-e-abas shitab chalun
kai ek kaam hain udhar darpesh
us ke didar ki ummid kahan
jab ki hai did ko nazar darpesh
ab meri jaan bach gai yani
ek qatil ki hai sipar darpesh
kis tarah kuch par kamar bandhun
ek rahzan ki hai kamar darpesh
KHalwat-e-naz aur aaina
KHud-nigar ko hai KHud-nigar darpesh
Ghazal
Dil ko duniya ka hai safar darpesh
Jaun Eliya