اردو हिंदी
Dil ko darun-e-KHwab ka mausam bojhal rakhta hai | Shaahi Shayari
dil ko darun-e-KHwab ka mausam bojhal rakhta hai

Ghazal

Dil ko darun-e-KHwab ka mausam bojhal rakhta hai

Humaira Rahman

;

dil ko darun-e-KHwab ka mausam bojhal rakhta hai
ek anjaane KHauf se waqif har pal rakhta hai

wo jo ba-zahir har zarra hai tez hawaon mein
apne hone ka ehsas mukammal rakhta hai

tark-e-talluq ne meri bhi soch ko badla nahin
wo bhi shikayat apne sath musalsal rakhta hai

registan ka pauda hun main aur bahut sairab
apna rup rawayya mujh par baadal rakhta hai

kankar phenk rahe hain ye andaza karne ko
Thahra pani kitni 'humaira' halchal rakhta hai