dil ko ba-nam-e-ishq sajaana paDa hamein
phir ek fareb dil mein basana paDa hamein
ye kis ka haal kis ko sunana paDa hamein
aur dil ka haal dil se chhupana paDa hamein
jal kar bhi tere nam ki KHushbu bikher de
phulon mein aisi aag lagana paDa hamein
daman ye KHar se nahin phulon se tar hai
jaane ye kaisa qarz chukana paDa hamein
jab se KHushi salib-e-mohabbat pe chaDh gai
hansna bhi ab udhaar mein lana paDa hamein
khulte hain roz kya ye mohabbat ke mai-kade
ye aazma ke dekhne jaana paDa hamein
ek aarzu ke waste kya kya nahin kiya
'ahmad' 'nisar' dil ko jalana paDa hamein
Ghazal
Dil ko ba-nam-e-ishq sajaana paDa hamein
Ahmed Nisar