dil ko aazar laga wo ki chhupa bhi na sakun
parda wo aa ke paDa hai ki uTha bhi na sakun
muddaa samne un ke nahin aata lab tak
baat bhi kya gham-e-dil hai ki suna bhi na sakun
be-jagah aankh laDi dekhiye kya hota hai
aap ja bhi na sakun un ko bula bhi na sakun
wo dam-e-naza mere bahar-ayaadat aae
haal kab puchhte hain jab ki suna bhi na sakun
zindagi bhi shab-e-hijran hai ki kaTti hi nahin
maut hai kya tera aana ki bula bhi na sakun
dam hai aankhon mein ise jaan mein laun kyunkar
kab wo aae ki unhen hath laga bhi na sakun
sharm-e-isyan ne jhukaya meri gardan ko 'zahir'
bojh wo aa ke paDa hai ki uTha bhi na sakun
Ghazal
Dil ko aazar laga wo ki chhupa bhi na sakun
Zaheer Dehlvi