dil ko aae ki nigahon ko yaqin aa jae
kisi unwan to koi mere qarin aa jae
bikhre rahne do sar-e-rah nishan-e-kaf-e-pa
jaane kis dam koi aawara-jabin aa jae
sunte jao mera be-rabt fasana shayad
inhi baaton mein koi baat hasin aa jae
aur phir is ke siwa sehr-e-mohabbat kya hai?
yak-ba-yak jaise koi dil ke qarin aa jae
jam kya chiz hai mai-KHana uDao yaro!
jaane kis dam lab-e-saqi pe nahin aa jae
wo teri yaad ka partaw ho ki ho saya-e-zulf
chain aa jae tabiat ko kahin aa jae
Ghazal
Dil ko aae ki nigahon ko yaqin aa jae
Sufi Tabassum