dil kiye tasKHir baKHsha faiz-e-ruhani mujhe
hubb-e-qaumi ho gaya naqsh-e-sulaimani mujhe
manzil-e-ibrat hai duniya ahl-e-duniya shad hain
aisi dil-jami se hoti hai pareshani mujhe
jaanchta hun wusat-e-dil hamla-e-gham ke liye
imtihan hai ranj-o-hirman ki farawani mujhe
haq-parasti ki jo main ne but-parasti chhoD kar
barhaman kahne lage ilhad ka bani mujhe
kulfat-e-duniya miTe bhi to saKHi ke faiz se
hath dhone ko mile bahta hua pani mujhe
KHud-parasti miT gai qadr-e-mohabbat baDh gai
matam-e-ahbab hai talim-e-ruhani mujhe
qaum ka gham mol le kar dil ka ye aalam hua
yaad bhi aati nahin apni pareshani mujhe
zarra zarra hai mere kashmir ka mehman-nawaz
rah mein patthar ke TukDon ne diya pani mujhe
lucknow mein phir hui aarasta bazm-e-suKHan
baad muddat phir hua zauq-e-ghazal-KHwani mujhe
Ghazal
Dil kiye tasKHir baKHsha faiz-e-ruhani mujhe
Chakbast Brij Narayan