dil kitna farebi hai adakar na ho jae
ye rauzan-dar-rauzan-e-diwar na ho jae
ek KHwab tere wasl ki KHushbu se racha KHwab
ye KHwab mujhe bais-e-azar na ho jae
ye hanste hue log ye mahke hue manzar
ye bhiD kahin waqif-e-asrar na ho jae
dil hai kisi ummid ke sae mein farozan
yak-tarfa tasalli ka saza-war na ho jae
ye waswasa-e-kaun-o-makan hasil-e-tashkik
wo shaKHs kahin mujh mein giraftar na ho jae
'rahil' main kisi sham ka bujhta hua suraj
duniya hi kahin meri azadar na ho jae

Ghazal
Dil kitna farebi hai adakar na ho jae
Rahil Bukhari