dil kisi mushtaq ka ThanDa kiya
KHub kiya aap ne achchha kiya
aaj haya aankh ki kuchh aur hai
chahne wala koi paida kiya
hae re paiman-shikani ke maze
jab main gaya wada-e-farda kiya
kuchh to kisi ne unhen samjha diya
hum jo gae aaj to parda kiya
go ki na tha meri taraf munh magar
tirchhi nigahon se wo dekha kiya
aah ki taqsir nahin hai magar
be-asari ne mujhe ruswa kiya
kah ke le aate hain tumhein hoshiyar
ye na kiya hum ne to phir kya kiya
maut ke sadqe ki ye kahte the wo
aaj na us ne koi phera kiya
aap ke ehsan ki tarif hai
main ne agar shikwa-e-ada kiya
nam mera sunte hi sharma gae
tum ne to KHud aap ko ruswa kiya
qadr meri tum ne na ki warna main
kya kahun kya aap ko samjha kiya
main ne to ai jaan-e-jahan jaan di
tum ne ada haqq-e-wafa kya kiya
phir wo nahae araq-e-sharm mein
kis ne mere ishq ka charcha kiya
main dil-e-sad-chaak ka kahta tha haal
shana abas zulf se uljha kiya
us ki nazar mein hua halka 'nasim'
mujh se mere shauq ne kya kya kiya
Ghazal
Dil kisi mushtaq ka ThanDa kiya
Naseem Dehlvi