dil kis se lagaun kahin dilbar nahin milta
kya zulm sahun koi sitamgar nahin milta
KHat le ke gaya jo wo kabutar nahin milta
kya zikr kabutar ka hai ek par nahin milta
zulfon ki tarah umr basar ho gai apni
hum KHana-ba-doshon ko kahin ghar nahin milta
kya KHak mudawa karen shorida-sari ka
sar phoDne ko DhunDhen to patthar nahin milta
gunjalak nahin miTti jo tabiat mein paDi hai
dil tujh se kisi taur se dilbar nahin milta
kya kijiye tarif bina gosh ki us ke
aaweze ko jis kan ke gauhar nahin milta
gum jab se hua hun main teri rah-e-talab mein
jab DhunDhta hun aap ko akasr nahin milta
kuchh talib-e-zar but hi nahin ghaur se dekho
haq yun hai ki allah bhi be-zar nahin milta
surat nahin milti teri surat se kisi ki
gahne se kisi ke tera zewar nahin milta
aaraishen mauquf huin kis liye ai jaan
gauhar nahin milta hai ki zar-gar nahin milta
abru ki mohabbat mein kise zist hai manzur
mar jaun gala kaT ke KHanjar nahin milta
rindan-e-mai-asham nahin jam ke paband
hum ok se pite hain jo saghar nahin milta
wahshat mein nikal jaun main sarhad se zamin ki
is gumbad-e-gardan ka wale dar nahin milta
o barq-e-tajalli tere kushte ki lahad par
kya lauh bane tur ka patthar nahin milta
hazir hun mujhe basta-e-fitrak-e-faras kar
gar said koi tark-e-sitamgar nahin milta
aashiq se na khinch aap ko ai baadshah-e-husn
darwesh se kya jhuk ke tawangar nahin milta
jo zaKHm ko sine ke siye Tanke jigar ko
aisa koi ustad rafugar nahin milta
ai 'rind' labaalab ho jo irfan ki mai se
saghar wo ba-juz saqi-e-kausar nahin milta
Ghazal
Dil kis se lagaun kahin dilbar nahin milta
Rind Lakhnavi