dil kis ki tegh-e-naz se lazzat-chashida hai
har zaKHm shauq se lab-e-hasrat-gazida hai
is garm-e-iztirab se dil jal gaya KHuda
pahlu mein mere dil hai ki barq-e-tapida hai
chusa dahan-e-zaKHm ne us ko hai is tarah
paikan-e-tir-e-yar zaban-e-makida hai
naseh junun ki baKHiya-gari ki hawas nahin
har tar-e-jaib ab to gareban-darida hai
ghuncha ki tarah KHak rakhen zar ko bandh kar
jun bole kal yahan se to jaana jarida hai
kuchh aaj zalzala sa zamin ko hai gor mein
'taskin'-e-be-qarar magar aarmida hai
Ghazal
Dil kis ki tegh-e-naz se lazzat-chashida hai
Taskeen Dehlavi