dil kis ke tasawwur mein jaane raaton ko pareshan hota hai
ye husn-e-talab ki baat nahin hota hai meri jaan hota hai
hum teri sikhai mantiq se apne ko to samjha lete hain
ek KHar khaTakta rahta hai sine mein jo pinhan hota hai
phir un ki gali mein pahunchega phir sahw ka sajda kar lega
is dil pe bharosa kaun kare har roz musalman hota hai
wo dard ki us ne chhin liya wo dard ki us ki baKHshish tha
tanhai ki raaton mein 'insha' ab bhi mera mehman hota hai
Ghazal
Dil kis ke tasawwur mein jaane raaton ko pareshan hota hai
Ibn e Insha