dil ki taraf nigah-e-taghaful raha kare
is KHak-e-rah ko bhi koi kimiya kare
hire ki kan dekh ke aata hai ye KHayal
kash is zamin se dana-e-gandum uga kare
TuTe kisi tarah to dhuen ka siyah tilism
har sham is dayar mein aandhi chala kare
dhime dukhon ki rakh badan par mili to hai
wo Dal de nazar to mujhe aaina kare
KHushbu mere ghamon ki bikhar jae dur dur
yun chup rahun ki ek zamana suna kare
bujhne lagi hai sham ke aangan mein raushni
ab mauj-e-KHun-e-dil hi koi moajiza kare

Ghazal
Dil ki taraf nigah-e-taghaful raha kare
Hasan Akhtar Jaleel