اردو हिंदी
Dil ki taklif kam nahin karte | Shaahi Shayari
dil ki taklif kam nahin karte

Ghazal

Dil ki taklif kam nahin karte

Jaun Eliya

;

dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikwa hum nahin karte

jaan-e-jaan tujh ko ab teri KHatir
yaad hum koi dam nahin karte

dusri haar ki hawas hai so hum
sar-e-taslim KHam nahin karte

wo bhi paDhta nahin hai ab dil se
hum bhi nale ko nam nahin karte

jurm mein hum kami karen bhi to kyun
tum saza bhi to kam nahin karte