dil ki surat tere sine mein dhaDakta hun main
han ba-zahir tere hathon ka khilauna hun main
ab jahan chand lab-e-baam ubharta hi nahin
jaane kyun phir unhin galiyon se guzarta hun main
kitna nadan tha main Dub gaya jal bhi gaya
wo bahut kahta raha aag ka dariya hun main
aarzu thi ki gulabon ke dilon mein rahta
ye saza pai ki kanTon ka bichhauna hun main
mere pas aa ke koi tishna-labi bhul gaya
main to samjha tha ki tapta hua sahra hun main
Ghazal
Dil ki surat tere sine mein dhaDakta hun main
Qais Rampuri