dil ki rah jae na dil mein ye kahani kah lo
chahe do harf likho chahe zabani kah lo
main ne marne ki dua mangi wo puri na hui
bas isi ko mere jine ki nishani kah lo
sarsar-e-waqt uDa le gai rudad-e-hayat
wahi auraq jinhen ahd-e-jawani kah lo
jab nahin shaKH-e-chaman par to mera nam hi kya
barg aawara kaho barg-e-KHizani kah lo
tum se kahne ki na thi baat magar kah baiTha
ab use meri tabiat ki rawani kah lo
wahi ek qissa zamane ko mera yaad raha
wahi ek baat jise aaj purani kah lo
hum pe jo guzri hai bas us ko raqam karte hain
aap-biti kaho ya marsiya-KHwani kah lo
Ghazal
Dil ki rah jae na dil mein ye kahani kah lo
Khalilur Rahman Azmi