dil ki raghbat hai jab aap hi ki taraf
kis liye aankh uThti kisi ki taraf
kaisi uljhan he bazi-gah-e-shauq mein
hum hain in ki taraf wo kisi ki taraf
sirf ashk-o-tabassum mein uljhe rahe
hum ne dekha nahin zindagi ki taraf
hum jo ghol-e-bayaban se waqif nahin
chal diye dur ki raushni ki taraf
dair-o-kaba se pyasi jabinen liye
aa gae hum teri bandagi ki taraf
raat Dhalte jab un ka KHayal aa gaya
TukTuki bandh gai chandni ki taraf
jab na qasd-e-KHudi ke dariche khule
ahl-e-dil ho liye be-KHudi ki taraf
hum ne dil ki lagi un se ki thi bayan
baat wo le gae dil-lagi ki taraf
jada-e-agahi par baDi bhiD thi
saikDon muD gae gumrahi ki taraf
hain mere halqa-e-ilm mein bil-yaqin
aasman ke payam aadmi ki taraf
un ke jalwon ki jaanib nazar uTh gai
mauj thi baDh gai chandni ki taraf
kaun sa jurm hai kya sitam ho gaya
aankh agar uTh gai aap hi ki taraf
jaane wo multafit hun kidhar bazm mein
aansuon ki taraf ya hansi ki taraf
us ke pindar-e-KHud-agahi par na ja
dekh insan ki bechaargi ki taraf
apne mahaul mein kyun andhera karen
der tak dekh kar raushni ki taraf
maut ki rah aasan ho jaegi
pyar se dekhiye zindagi ki taraf
hum junun-mand bhi itne waqif to hain
aql ka ruKH hai waraftagi ki taraf
shairi ki kisi manzil-e-dard mein
ek daricha hai paighambari ki taraf
jaane aankhon ne aankhon se kya kuchh kaha
zindagi jhuk gai zindagi ki taraf
'danish' inkar KHaliq se hota nahin
dekhta hun main jab aadmi ki taraf
Ghazal
Dil ki raghbat hai jab aap hi ki taraf
Ehsan Danish