اردو हिंदी
Dil ki rahon se dabe panw guzarne wala | Shaahi Shayari
dil ki rahon se dabe panw guzarne wala

Ghazal

Dil ki rahon se dabe panw guzarne wala

Indr Mohan Mehta Kaif

;

dil ki rahon se dabe panw guzarne wala
chhoD jaega koi zaKHm na bharne wala

ab wo sahra-e-junun KHak uDane se raha
ab wo dariya-e-mohabbat nahin bharne wala

zabt-e-gham kar liya ye bhi to na socha main ne
ek nashtar sa hai ab dil mein utarne wala

Dub kar par utarna hai chaDhe dariya se
ek dariya hi to hai waqt guzarne wala

jaane ab kaun si manzil mein hai insan ka safar
ye janam lene laga hai ki hai marne wala

be-sabab to nahin sahme hue zarron ka sukut
'kaif' ye KHak ka tuda hai bikharne wala