dil ki rahen raushan karte rahte hain
kis ke ghunghru chhan-chhan karte rahte hain
duniya jis ki khoj mein pagal phirti hai
hum to us ke darshan karte rahte hain
indar ki be-rangi shayad chhup jae
bahar rang-o-roghan karte rahte hain
un se puchho aane wali rut ka haal
jo patjhaD ko sawan karte rahte hain
un ke dil mein ghar kar lena mushkil hai
chaTTanon mein rauzan karte rahte hain
chup rahte hain jin mein kuchh bhi hota hai
KHali Dabbe khan-khan karte rahte hain
Ghazal
Dil ki rahen raushan karte rahte hain
Nadeem Fazli