اردو हिंदी
Dil ki manzil us taraf hai ghar ka rasta is taraf | Shaahi Shayari
dil ki manzil us taraf hai ghar ka rasta is taraf

Ghazal

Dil ki manzil us taraf hai ghar ka rasta is taraf

Noshi Gilani

;

dil ki manzil us taraf hai ghar ka rasta is taraf
ek chehra us taraf hai ek chehra is taraf

raushni ke istiare us kinare rah gae
ab to shab mein koi jugnu hai na tara is taraf

tum hawa un khiDkiyon se sirf itna dekhna
us ne koi KHat kisi ke nam likkha is taraf

ye mohabbat bhi ajab taqsim ke mausam mein hai
sara jazba is taraf hai sirf lahja is taraf

man ne koi KHauf aisa rakh diya dil mein mere
sach kabhi main bol hi pai na pura is taraf

ek halki si chubhan ehsas ko ghere rahi
guftugu mein jab tumhaara zikr aaya is taraf

sirf aankhen kanch ki baqi badan patthar ka hai
laDkiyon ne kis tarah rup dhaara is taraf

ai hawa ai mere dil ke shahr se aati hawa
tujh ko kya paigham de kar us ne bheja is taraf

kis tarah ke log hain ye kuchh pata chalta nahin
kaun kitna us taraf hai kaun kitna is taraf