dil ki kahun ya kahun jigar ki
kuchh baat karun idhar-udhar ki
lau dil ki bujhaen ya jigar ki
len ashk KHabar kidhar kidhar ki
uThne na diya hamein mare par
li zoaf ne aaqibat pisar ki
ghaDiyal nasib hun shab-e-wasl
sar choT hai har ghaDi gajar ki
Dhalne ko hai mehr-e-naujawani
chhuTne pe hai top dopahar ki
kya kam-suKHanon ko shama kahiye
shamon ki zaban hai hath bhar ki
marqad mein chale rah-e-adam li
sujhi jo musafirat mein ghar ki
kakul hui tar araq se ruKH ke
pi sanp ne us phul par ki
ji qabr mein KHak bhale ai 'shad'
basti hai ujaD is nagar ki
Ghazal
Dil ki kahun ya kahun jigar ki
Shad Lakhnavi