dil ki kaya gham ne wo palTi ki tujh sa ban gaya
dard mein dil Dub kar qatre se dariya ban gaya
un ke aaghosh-e-mashiyyat mein hai nakaami meri
kaam kuchh is tarah bigDa hai ki goya ban gaya
dil ki rut aisi to yaad-e-yar ne badli na thi
ye chaman ujDa hi is Dhab se ki sahra ban gaya
naqsh-e-mauhum-e-hayat afsana-dar-afsana tha
jab ye naqsh ubhra to ek harf-e-tamanna ban gaya
lo mubarak lazzat-e-gham bhi hai ab to nagawar
dil mohabbat mein jo banna chahiye tha ban gaya
jalwa-e-kasrat KHud apna shauq-e-be-andaza tha
mahfil-e-laila meri nazron mein laila ban gaya
meri mahrumi bhi ruswa hai ki 'fani' haal-e-dil
un ke kanon tak na pahuncha aur fasana ban gaya
Ghazal
Dil ki kaya gham ne wo palTi ki tujh sa ban gaya
Fani Badayuni