dil ki jo aag thi kam us ko bhi hone na diya
hum to rote the magar aap ne rone na diya
shama kyun parda-e-fanus mein chhup jati hai
us ne parwane ko qurban bhi hone na diya
yaad-dilbar mein kabhi ai dil-e-muztar tu ne
hum ko chup-chap kahin baiTh ke rone na diya
aashiyan ka to koi zikr hai kya ai sayyaad
jama tinkon ko kabhi barq ne hone na diya
aastin aaankhon par us shoKH ne rakh di 'bazal'
ro raha tha mujhe kis waste rone na diya
Ghazal
Dil ki jo aag thi kam usko bhi hone na diya
Uma Shankar Chitravanshi Bazal