dil ki imarat jhuTe jazbon par tamir nahin karna
KHwab adhura dekho to koi tabir nahin karna
phul khilen to hawa mein KHushbu ho hi jati hai tahlil
dil ki baaten samho par un ki tafsir nahin karna
man kahti hai ghuTti jalti rahna pi lena aansu
sheron mein bhi beTi apna gham tahrir nahin karna
na sahab hum se mat mango ahd-e-wafa in baaton par
jabr-o-sitam sahna lekin koi tadbir nahin karna
jabr ke andhiyaron mein rahna zulm ka sahna hai taqsir
dekho meri jaan 'ayan' tum ye taqsir nahin karna

Ghazal
Dil ki imarat jhuTe jazbon par tamir nahin karna
Rasheed Ayan