dil ki ek harf-o-hikayat hai ye bhi na sahi
gar meri baat mein kuchh baat hai ye bhi na sahi
id ko bhi wo nahin milte hain mujh se na milen
ek baras din ki mulaqat hai ye bhi na sahi
dil mein jo kuchh hai tumhaare nahin pinhan mujh se
zahiri lutf o mudaraat hai ye bhi na sahi
zindagi hijr mein bhi yun hi guzar jaegi
wasl ki ek hi gar raat hai ye bhi na sahi
meri turbat pe lagate nahin Thokar na lagao
ye hi bas un ki karamat hai ye bhi na sahi
kaT sakte hain gala KHud bhi na kije hamein qatl
aap ke hath mein ek baat hai ye bhi na sahi
qatl-e-qasid pe kamar bandhi hai 'shola' us ne
KHat kitabat ki mulaqat hai ye bhi na sahi
Ghazal
Dil ki ek harf-o-hikayat hai ye bhi na sahi
Shola Aligarhi