اردو हिंदी
Dil ki har larzish-e-muztar pe nazar rakhte hain | Shaahi Shayari
dil ki har larzish-e-muztar pe nazar rakhte hain

Ghazal

Dil ki har larzish-e-muztar pe nazar rakhte hain

Fani Badayuni

;

dil ki har larzish-e-muztar pe nazar rakhte hain
wo meri be-KHabari ki bhi KHabar rakhte hain

dard mein lutf-e-KHalish kaif-e-kashish pata hun
kya wo phir azm-e-tamasha-e-jigar rakhte hain

jis taraf dekh liya phunk diya tur-e-majaz
ye tere dekhne wale wo nazar rakhte hain

KHud taghaful ne diya muzhda-e-bedad mujhe
allah allah mere nale bhi asar rakhte hain

bebasi dekh ye sau bar kiya ahd ki ab
tujh se ummid na rakkhenge magar rakhte hain

hai tere dar ke siwa koi Thikana apna
kya kahin tere ujaDe hue ghar rakhte hain

koi is jabr-e-tamanna ki bhi had hai 'fani'
hum shab-e-hijr mein ummid-e-sahar rakhte hain