اردو हिंदी
Dil ki har baat dhyan mein guzri | Shaahi Shayari
dil ki har baat dhyan mein guzri

Ghazal

Dil ki har baat dhyan mein guzri

Jaun Eliya

;

dil ki har baat dhyan mein guzri
sari hasti guman mein guzri

azal-e-dastan se is dam tak
jo bhi guzri ek aan mein guzri

jism muddat teri uqubat ki
ek ek lamha jaan mein guzri

zindagi ka tha apna aish magar
sab ki sab imtihan mein guzri

hae wo nawak-e-guzarish-e-rang
jis ki jumbish kaman mein guzri

wo gadai gali ajab thi ki wan
apni ek aan-ban mein guzri

yun to hum dam-ba-dam zamin pe rahe
umr sab aasman mein guzri

jo thi dil-taeron ki mohlat-e-bud
ta zamin wo uDan mein guzri

bud to ek takan hai so KHuda
teri bhi kya takan mein guzri