dil ki girhen kahan wo kholta hai
chahaton mein bhi jhuT bolta hai
sang-rezon ko apne hathon se
motiyon ki tarah wo rolta hai
kaisa mizan-e-adl hai us ka
phul kanTon ke sath taulta hai
aisa wo diplomat hai 'akbar'
zahr amrit ke sath gholta hai
Ghazal
Dil ki girhen kahan wo kholta hai
Akbar Hameedi