اردو हिंदी
Dil ki duniya mein tujhe la ke main hairan kar dun | Shaahi Shayari
dil ki duniya mein tujhe la ke main hairan kar dun

Ghazal

Dil ki duniya mein tujhe la ke main hairan kar dun

Marghoob Asar Fatmi

;

dil ki duniya mein tujhe la ke main hairan kar dun
aa tujhe dard-e-mohabbat se farozan kar dun

chand lamhe jo mayassar hon sukun ke mujh ko
rah nikle to har ek dard ka darman kar dun

inqilabaat wahi hain ki jo yaksar ubhren
gar ho taKHrib ghadar nam mein chaspan kar dun

us ke ghar jaun rahi jis se adawat barson
thoDi taklif sahi us ko pasheman kar dun

aarzu hai ki rahun zinda mohabbat ban kar
hun jahan dafn 'asar' us ko gulistan kar dun