dil ki duniya hai musibat se bhari rahti hai
phir bhi har shaKH tamanna ki hari rahti hai
jaane kab aa ke wo darwaze pe dastak de de
zindagi maut ki aahaT se Dari rahti hai
KHwab mein bhi nahin dekha kabhi chehra us ka
dil ke aaine mein sunte hain pari rahti hai
main sikandar hun na sufi na qalandar yaro
phir bhi raushan meri aashufta-sari rahti hai
ek hi pal mein palaTti hai lakiron jaisi
jaise har sans hatheli pe dhari rahti hai

Ghazal
Dil ki duniya hai musibat se bhari rahti hai
Khawaja Javed Akhtar