dil ki duniya dekh kar kyun rang-e-duniya dekhte
dekhne walo nahin hum dekh kar kya dekhte
jalwa-gah-e-dil mein aa jate wo be-parda agar
hum bhi rang-e-be-KHudi hum rang-e-musa dekhte
chaudhwin ka chand hota hai daraKHshan jis tarah
yun tasawwur mein kisi ko jagmagata dekhte
gharq ho jate mohabbat mein mohabbat-ashna
sahil-o-dariya se bhi kar ke kinara dekhte
jazb ho kar rah gae KHud hi nigah-e-barq mein
kyunkar aankhon se nasheman apna jalta dekhte
main kabhi jalwa hun tera tu kabhi partaw mera
umr guzri ja rahi hai ye tamasha dekhte
hote wo jalwa-numa gul-paikar-o-gul-pairahan
hum unhen 'maKHmur' firdaus-e-tamasha dekhte

Ghazal
Dil ki duniya dekh kar kyun rang-e-duniya dekhte
Makhmoor Jalandhari