dil ki dhaDkanon se ek dastan banana hai 
aap ki nigahon ko ham-zaban banana hai 
mah o KHor ugane hain kahkashan banana hai 
ai zamin tujhi ko ab aasman banana hai 
gul-farosh tha mali ho gaya chaman KHali 
aaj patte patte ko baghban banana hai 
apne surKH honTon ki muskurahaTen de do 
bijliyon ki yurish mein aashiyan banana hai 
bandh kar kafan sar se yun khaDa hun maqtal mein 
jaise sarfaroshon ka karwan banana hai 
meri zindagi mein tum apni dil-kashi bhar do 
waqt jaise zalim ko mehrban banana hai 
aaj un ki aankhon se jhankti hain talwaren 
dil ki aarzuon ko saKHt-jaan banana hai
        Ghazal
Dil ki dhaDkanon se ek dastan banana hai
Parvez Shahidi

