dil ki dhaDkan ulajh rahi hai ye kaisi saughat ghazal ki
tar-e-nafas par ungli rakh di chheD ke tum ne baat ghazal ki
us ka chehra us ki aankhen ek qayamat hae mohabbat
taswiren KHud batlati hain sari tafsilat ghazal ki
wahi kahani dohraenge wahi nishani phir DhunDenge
aadam aur hawwa se juDi hai asl mein talmihat ghazal ki
safha-e-dil par misra-e-tar ki shakl mein aansu girte hain
dard ke baadal chhate hain to hoti hai barsat ghazal ki
hawa hue wo din ki ghazal karti thi bas mahbub se baat
waqt ka manzar-nama badla badli tarjihat ghazal ki
chulhe-chauke se be-zari fikr-e-suKHan aasab pe tari
jagte sote rah nihaarun 'raKHshan' main ban raat ghazal ki

Ghazal
Dil ki dhaDkan ulajh rahi hai ye kaisi saughat ghazal ki
Rakhshan Hashmi