اردو हिंदी
Dil ki dhaDkan ab rag-e-jaan ke bahut nazdik hai | Shaahi Shayari
dil ki dhaDkan ab rag-e-jaan ke bahut nazdik hai

Ghazal

Dil ki dhaDkan ab rag-e-jaan ke bahut nazdik hai

Aslam Emadi

;

dil ki dhaDkan ab rag-e-jaan ke bahut nazdik hai
raat be-awaz be-andaz be-tahrik hai

jam gai hain taron ki aaankhon pe baadal ki tahen
Dub jao zat ke andar falak tarik hai

kal ke lamhe aaj ke lamhon mein mudgham ho gae
dekhna aaankhon mein ab jalwa-numa tahrik hai

tum mere kamre ke andar jhankne aae ho kyun
so raha hun chain se hun Thik hai sab Thik hai

maut ka lamha abhi aaya abhi jaane ko hai
chum lo miTTi ko apni hadiya-e-tabrik hai

dosto aankhen na kholo ThanDi sansen mat bharo
aa gae manzil pe tum 'aslam' bahut nazdik hai