اردو हिंदी
Dil ki dahliz suni suni hai | Shaahi Shayari
dil ki dahliz suni suni hai

Ghazal

Dil ki dahliz suni suni hai

Aasi Ramnagri

;

dil ki dahliz suni suni hai
ab tamannaon ki baraat nahin

ja lagega safina sahil se
na-KHuda lakh apne sat nahin

log phir kyun KHushi pe marte hain
jaante hain use sabaat nahin

din banegi na raat kis ne kaha
din na hoga kabhi ye raat nahin

itne tanha na the kabhi 'asi'
yaad bhi un ki ab to sat nahin