dil ki dahliz pe dilbar aaya
pyas ke dar pe samundar aaya
chalte chalte teri KHushbu aai
main ye samjha ki tera ghar aaya
dhup mein chhanw numudar hui
kaun aaKHir sar-e-mahshar aaya
asl mein thi wo hawai aahaT
main baDi tezi se bahar aaya
thin KHataen to sarasar dil ki
zad mein aaya to mera sar aaya
chhuT kar tujh se kahin ja na mili
lauT kar phir tere dar par aaya
us ko lauTa diye sab us ke KHutut
hae nadan ye kya kar aaya
yar aaya ki na aaya 'atib'
nama-e-yar barabar aaya
Ghazal
Dil ki dahliz pe dilbar aaya
Atyab Ejaz