اردو हिंदी
Dil ki chori mein jo chashm-e-surma-sa pakDi gai | Shaahi Shayari
dil ki chori mein jo chashm-e-surma-sa pakDi gai

Ghazal

Dil ki chori mein jo chashm-e-surma-sa pakDi gai

Parveen Umm-e-Mushtaq

;

dil ki chori mein jo chashm-e-surma-sa pakDi gai
wo tha chin-e-zulf mein ye be-KHata pakDi gai

subh ku-e-yar mein baad-e-saba pakDi gai
yani ghibat mein gulon ki mubtala pakDi gai

dil chaDha mushkil se taq-e-abru-e-KHamdar par
sau jagah raste mein jab zulf-e-rasa pakDi gai

jaan kar aankhen churain tu ne hum se bazm mein
teri chori dekh li kya bad-numa pakDi gai

hai isi mein qalb-e-mahzun shartiya kahta hun main
khol muTThi teri chori mah-laqa pakDi gai

mast ho kar us ki KHushbu se gira tha bach gaya
jab sambhalne ko wo zulf-e-mushk-sa pakDi gai

har taraf sehn-e-chaman mein kahti phirti hai nasim
gul se hansti khilkhilati motiya pakDi gai

apne hathon par liye phirte hain wo har dam halaf
aaD qasmon ki to mujh se barha pakDi gai

ruKH se gul ko tha talluq zulf se sumbul ko mel
ek ja ganTha use ye ek ja pakDi gai

yar hai KHanjar-ba-kaf aur jaan-nisaron ka hujum
hae ye kis jurm mein KHalq-e-KHuda pakDi gai

aap hi ka aasra hai aap kijega madad
hashr mein 'parwin' agar ya mustafa pakDi gai