dil ki bisat pe shah payaade kitni bar utaroge 
is basti mein sab shatir hain tum har bazi haaroge 
prem-pujari mandir mandir dil ki katha kyun gate ho 
but sare patthar hain pyare sar patthar se maroge 
dil mein khinch ke us ki surat aaj to KHush KHush aae ho 
kal se us mein rang bharoge kal se naqsh ubhaaroge 
sare din to us ki gali mein aate jate guzri hai 
ab bolo ab raat hui hai kaise raat guzaroge 
pyar ki aankhen mund jaengi dil ka diya bujh jaega 
kab tak lahu jalaoge tum kab tak kajal paroge 
jis ko data man ke tum ne bhik lagan ki mangi hai 
us ne bhi jo salam kiya to daman kahan pasaroge 
'baqar' sahab maha kawi ho baDe guru kahlate ho 
apna dukh-sukh bhul gae to kis ka KHal sanwaroge 
kali kali ashkon ki laDiyan phul phul ye komal git 
kis ki sej sajai 'baqar' kis ka rup nikhaaroge
        Ghazal
Dil ki bisat pe shah payaade kitni bar utaroge
Sajjad Baqar Rizvi

