dil ki basti pe kisi dard ka saya bhi nahin
aisa virani ka mausam kabhi aaya bhi nahin
hum kisi aur hi aalam mein raha karte hain
ahl-e-duniya ne jahan aake sataya bhi nahin
hum pe is aalam-e-taza mein guzarti kya hai
tum ne puchha bhi nahin hum ne bataya bhi nahin
kab se hun gharq kisi jhil ki gahrai mein
raaz-e-ayyam magar aql ne paya bhi nahin
be-zamini ka ye dukh aur zamin bhi apni
bebasi aisi ki nukta ye uThaya bhi nahin
be-jihat uThte hue Thokaren khate ye qadam
rahbar mera mujhe rah pe laya bhi nahin
us ne hamdardi ke paiman to bahut bandhe the
aa paDi hai to mera hath baTaya bhi nahin
dil ki diwaron se lipTi hai kisi sham ki yaad
jaane wala to kabhi lauT ke aaya bhi nahin
sard-mehri ki jigar chhalni kiye deti hai
us ne yun dekhne mein hath chhuDaya bhi nahin
us se ummid-e-wafa bandh rakhi hai 'shahid'
jis ne ye bar mohabbat ka uThaya bhi nahin
Ghazal
Dil ki basti pe kisi dard ka saya bhi nahin
Siddiq Shahid