dil ki barbaadi ke aasar abhi baqi hain
kuchh shikasta dar-o-diwar abhi baqi hain
chand parwane hi raqsan hain magar sham-e-hazin
shukr kar kuchh tere gham-KHwar abhi baqi hain
chand ghunchon ke jigar si ke rafugar na bano
kitne dil hain jo dil-afgar abhi baqi hain
waqt aaya to tah-e-tegh bhi dohra denge
wo fasane jo sar-e-dar abhi baqi hain
ai mashihao kabhi ghar se nikal kar dekho
kis qadar shahr mein bimar abhi baqi hain
su-e-virana nikal aae jo diwane to kya
zehn mein to dar-o-diwar abhi baqi hain
KHatm musa pe kahan silsila-e-shauq hua
kitne hi talib-e-didar abhi baqi hain
mere daman ko na dekho sar-e-mizhgan dekho
kis qadar abr-guhar-bar abhi baqi hain
uqde khulte hi chale jate hain har rose nae
ghaaliban mahram-e-asrar abhi baqi hain
uljhanen hum ko bhi darkar hain utni jitne
tujh mein KHam kakul-e-KHamdar abhi baqi hain
tinke tinke pe teri yurish-e-paiham phir bhi
aashiyan barq-e-sharar-bar abhi baqi hain
kis mein jurat hai jo phulon pe nazar Dal sake
pasbani ke liye KHar abhi baqi hain
jo badal sakte hain mai-KHane ka dastur-e-kuhan
chand aise bhi to mai-KHwar abhi baqi hain
dekh kar misr ke bazar ki raunaq 'rahi'
dil ye kahta hai KHaridar abhi baqi hain
Ghazal
Dil ki barbaadi ke aasar abhi baqi hain
Rahi Shahabi