dil ki aarzu thi dard dard-e-be-dawa paya
kya sawal tha mera aur kya jawab un ka
ishq ki latafat ko KHak-e-tur kya jaane
mujh pe thi nazar un ki mujh se tha KHitab un ka
aalam-e-tamanna hai KHwab ka sa ek aalam
shauq-e-na-tamam apna ishwa kaamyab un ka
kam na thi qayamat se subh-e-afrinash bhi
meri muztarib nazren aur intiKHab un ka

Ghazal
Dil ki aarzu thi dard dard-e-be-dawa paya
Akhtar Ali Akhtar