dil KHun hua hai shoKHi-e-rang-e-hina ke sath
hai mani-e-buland bhi tarz-e-ada ke sath
chaTka jo dil to misl-e-gul-e-tar bikhar gaya
KHushbu saba ke sath thi naghma sada ke sath
ye haal hai chaman mein ki ab misl-e-barg-e-KHushk
aawara ek umr se hain hum hawa ke sath
zulfen udhar khulin idhar aansu umanD paDe
hain sab ke apne apne rawabit ghaTa ke sath
tum rang the to KHu-e-wafa thi gulon mein the
KHushbu bane to uD gae mauj-e-saba ke sath
aahaT pe kan rah mein aankhon bichhi hui
hum dur tak chale teri aawaz-e-pa ke sath
sanki hawa to shorish-e-zindan bhi baDh gai
dil wajd mein hai naghma-e-zanjir-e-pa ke sath
hai intiha-e-shauq bhi be-rahiyon ka bab
hum thoDi dur chalte hain har rahnuma ke sath
aaKHir ko gard-e-hu ke rahe misl-e-gard-baad
do-chaar hath hum bhi uDe the hawa ke sath
'baqar' tumhaara shahr mein zamin banega kaun
kuchh naqd bhi to chahiye jins-e-wafa ke sath
Ghazal
Dil KHun hua hai shoKHi-e-rang-e-hina ke sath
Sajjad Baqar Rizvi