اردو हिंदी
Dil KHun hai gham se aur jigar yak na-shud do shud | Shaahi Shayari
dil KHun hai gham se aur jigar yak na-shud do shud

Ghazal

Dil KHun hai gham se aur jigar yak na-shud do shud

Baqaullah u0027Baqau0027

;

dil KHun hai gham se aur jigar yak na-shud do shud
lab KHushk hain to chashm hai tar yak na-shud do shud

ruswa to nala kar ke hue lekin us ne yar
dil mein tere kiya na asar yak na-shud do shud

awwal to hum ko taqat-e-parwaz hi na thi
tis par burida ho gae par yak na-shud do shud

paya na hum ne sud mohabbat mein yar ki
us par bhi pahunchta hai zarar yak na-shud do shud

chhiDka mere jigar pe namak ghair se raha
paiwasta misl-e-shir-o-shakar yak na-shud do shud

aawara-jun saba hun par ab justuju-e-yar
rakhti hai mujh ko KHak basar yak na-shud do shud

mushkil tha dekhna hi tera tis pe roz-e-wasl
lai na chashm tab-e-nazar yak na-shud do shud

nalan hum apne ashk ke hathon the ab 'baqa'
bahne lagen hain laKHt-e-jigar yak na-shud do shud